He said in Hindi, “Jai Ram Ji ke doston, abhi jo nayi Ramayan release hui hai, ise dekhne ka mujhe avsar praapt hua. Bahut bade budget ki bahut hi bhavya picture hai. VFX jo hai world-class hai. Film ka chitran bahut hi sundar hai, aankhon ko bahut accha lagta hai. Is film mein sabhi kalaakaron ne jo bhi unhe role diye gaye bahut acche se nibhaaye hain, bahut hi dil se nibhaaye hain. Film ke kuch scene jo hain woh outstanding hain. Parantu mere vichar se film mein kuch scenon ke upar, jo khaaskar ke emotional scene hain, un par aur dialogue par dhyan hi nahi diya gaya.”